{HAMARE SAWALAT} ? {QURAN KE JAWABAAT} !
![]() |
IIECINDIA |
SAWAL : wo kaun se kaam hai jinko karne se Allah mujhe napasand karta hai ?
JAWAB : “beshaq ALLAH zyadati aur zulm karne walo ko pasand nahi karta .”
(Quran : Sura Baqra 2/190)
“ALLAH bigad failane Walo ko pasand nahi karta.”
(Quran : Sura Mayeda 5/64)
“Beshaq Allah kisi dhokhebaaz, nashukre ko pasand nahi karta.
(Quran : Sura Haj 22/38)
“Beshaq wo inkar karne walo ko pasand nahi karta”
(Quran : Sura Rum 30/45)
“Tum us cheez ka afsos na karo jo tumse jaati rahe aur na us par itrao jo usne tumhein ataa kar di. Allah itrane wale , badai jataane wale ko pasand nahi karta.”
(Quran : Sura Hadid 57/23)
“Apne Rabb ko gidgidakar aur chupke chupke pukaro. Beshaq wo had se aage badhne walo ko pasand nahi karta.
(Quran : Sura Araf 7/55)
“Rahe wo log jo imaan laaye aur unhone achche kaam kiye unhein wo unka poora poora badla dega. ALLAH zaalimo ko pasand nahi karta.
(Quran : Imran 3/57)
“ALLAH byaz ko ghatata aur mitata hai aur sadqo (charities) ko badhata hai. Aur Allah kisi na shukre , haq maarne wale ko pasand nahi karta.”
(Quran : Sura Baqra 2/276)
“Beshaq Allah achchi tarah jaanta hai jo kuch wo chupate hai aur jo kuch zahir karte hain . usey aise log pasand nahi, jo apne aapko badaa samajhte ho.”
(Quran : Sura Nahal 16/23)
ALLAH HAME HAQ BAAT SAMJHNE KI TOFFIK ATA FARMAYE AMIN.....
about allah islamic quotes about islam 5 pillars of islam Evil eye- Sakoonedil
ReplyDelete